Jo sawal sab se ziada poochay jate hain
Shuru karne se pehle jo baatein log aksar poochte hain, yahan ek jagah likhi hain.
System aur chalana
- Internet band ho to billing chalti rehti hai - sirf remote support ke liye net chahiye
- Urdu mein item ke naam daal sakte hain
- Ek se ziada counter ek hi stock par chal sakte hain
- Har staff ka apna login aur apne rights hote hain
Paise ka hisab
- Udhaar (customer khata) aur supplier ledger dono system mein hain
- Rozana closing se cash aur sale ka farq usi din pata chalta hai
- Munafa item wise bhi dekha ja sakta hai
Hamare baare mein
- Wazirabad, Punjab mein 15 saal se yehi kaam
- Software aur hardware dono ka ek hi number - 0321-2121262
- Pakistan bhar aur bahar mulk remote installation aur training
Aam sawalat
Demo free hai?
Ji haan. Aap ki dukan par ya AnyDesk par aap ki apni screen par - dono tarah free.
Data hamara apna rehta hai?
Ji haan. Software aap ke computer par chalta hai aur data aap ka hai. Backup lene ka tareeqa hum training mein bata dete hain.
Software ka licence hamesha ke liye hai?
Aksar software one-time licence hai. Kuch system saalana hain - kaunsa kya hai, quotation par saaf likha hota hai.
Kya aap apni marzi ka software bhi banate hain?
Ji haan. Custom software, Android app aur website - sab banate hain. Apni zarurat WhatsApp kar dein.